اردو हिंदी
Etiraf | Shaahi Shayari
etiraf

Nazm

Etiraf

Hafiz Ahmad

;

aaj main aaine ke muqabil khaDa hun
masarrat ki KHwahish

mere waste maut ka zaiqa ban chuki hai
sulagti hui KHwahishon se hirasan badan

justuju se gurezan hai
KHush-baKHton ke liye kaamyabi ka koi bahana nahin

jaanta hun
ki mera safar

ek dahshat-zada aarzu ka safar hai
meri rahguzar

karb ki rahguzar hai