ye sab dastanon mein likha hai
ya farzi kahaniyon mein
tum ne mujh se mohabbat ki hai
tum roz subh se sham tak
ye ek lafz dohraate ho
aur mujhe apni mohabbat ka
yaqin dilate ho
lekin mujhe malum hai
is lafz ke kya mani hain
jab tum is ke mani
bta chukoge
to ye lafz tumhaare gale mein
sukhe thuk ki tarah
chipak jaega
aur mere liye tum ise
kabhi ada na karoge
is se pahle bhi yahi hota raha hai
us ne bhi mujh se pahli bar
mohabbat ka e'tiraf karte hue
mere kan sunghe the
phir mere pistanon ko TaTola tha
tisri bar wo mere kapDe
utar chuka tha
aur phir us ne mujhe
is e'tiraf ka mauqa
kabhi nahin diya!!
Nazm
Etiraf
Azra Abbas