ab mere pas tum aai ho to kya aai ho
main ne mana ki tum ek paikar-e-ranai ho
chaman-e-dahr mein ruh-e-chaman-arai ho
talat-e-mehr ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mahtab ho gardun se utar aai ho
mujh se milne mein ab andesha-e-ruswai hai
main ne KHud apne kiye ki ye saza pai hai
KHak mein aah milai hai jawani main ne
shola-zaron mein jalai hai jawani main ne
shahr-e-KHuban mein ganwai hai jawani main ne
KHwab-gahon mein jagai hai jawani main ne
husn ne jab bhi inayat ki nazar Dali hai
mere paiman-e-mohabbat ne sipar Dali hai
un dinon mujh pe qayamat ka junun tari tha
sar pe sarshaari-e-ishrat ka junun tari tha
mah-paron se mohabbat ka junun tari tha
shahryaron se raqabat ka junun tari tha
bistar-e-maKHmal-o-sanjab thi duniya meri
ek rangin o hasin KHwab thi duniya meri
jannat-e-shauq thi begana-e-afat-e-sumum
dard jab dard na ho kawish-e-darman malum
KHak the dida-e-bebak mein gardun ke nujum
bazm-e-parwin thi nigahon mein kanizon ka hujum
laila-e-naz barafganda-naqab aati thi
apni aankhon mein liye dawat-e-KHwab aati thi
sang ko gauhar-e-nayab-o-giran jaana tha
dasht-e-pur-KHar ko firdaus-e-jawan jaana tha
reg ko silsila-e-ab-e-rawan jaana tha
aah ye raaz abhi main ne kahan jaana tha
meri har fatah mein hai ek hazimat pinhan
har masarrat mein hai raaz-e-gham-o-hasrat pinhan
kya sunogi meri majruh jawani ki pukar
meri fariyaad-e-jigar-doz mera nala-e-zar
shiddat-e-karb mein Dubi hui meri guftar
main ki KHud apne mazaq-e-tarab-agin ka shikar
wo gudaz-e-dil-e-marhum kahan se laun
ab main wo jazba-e-masum kahan se laun
mere sae se Daro tum meri qurbat se Daro
apni jurat ki qasam ab meri jurat se Daro
tum latafat ho agar meri latafat se Daro
mere wadon se Daro meri mohabbat se Daro
ab main altaf o inayat ka saza-war nahin
main wafadar nahin han main wafadar nahin
ab mere pas tum aai ho to kya aai ho
Nazm
Etiraf
Asrar-ul-Haq Majaz