har shaKH-e-tamanna par meri har-chand ki barg-o-bar lage
wo peD jo mere nam ka hai, har aankh ko saya-dar lage
par, ek kami si rahti hai
kuchh waqf-e-tabassum honT bhi hain, kuchh rasta takti aankhen bhi
kuchh wo hain jin se milne ko be-tab hon meri banhen bhi
par, ek KHalish si rahti hai
ye dad-o-sataish ke tamghe, kuchh sheron par, kuchh kaamon par
aur itna istehqaq bhi jo hota hai subhon shamon par
par, ek mahrumi rahti hai
jo ek mahrumi, ek KHalish jo ek kami si rahti hai
wo ek kami, wo ek KHalish, wo ek mahrumi tum hi to ho
Nazm
Etiraf
Anjum Khaleeq