اردو हिंदी
Etimad | Shaahi Shayari
etimad

Nazm

Etimad

Kafeel Aazar Amrohvi

;

main ne socha tha ki is bar tumhaari bahen
meri gardan mein ba-sad-shauq hamail hongi

mushkilen rah-e-mohabbat mein na hail hongi
main ne socha tha ki is bar nigahon ke salam

aaenge aur ba-andaz-e-digar aaenge
phul hi phul fazaon mein bikhar jaenge

main ne socha tha ki is bar tumhaari sansen
meri bahki hui sanson se lipaT jaengi

bazm-e-ehsas ki tarikiyan chhaT jaengi
main ne socha tha ki is bar tumhaara paikar

mere be-KHwab darichon ko sula jaega
mere kamre ko saliqe se saja jaega

main ne socha tha ki is bar mere aangan mein
rang bikhrenge umidon ki dhanak TuTegi

meri tanhai ke aariz pe shafaq phuTegi
main ne socha tha ki is bar ba-in surat-e-haal

mere darwaze pe shahnaiyan sab dekhenge
jo kabhi pahle nahin dekha tha ab dekhenge

main ne socha tha ki is bar mohabbat ke liye
gungunate hue jazbon ki baraat aaegi

muddaton baad tamannaon ki raat aaegi
tum mere ishq ki taqdir banogi is bar

jit jaega mera josh-e-junun socha tha
aur ab soch raha hun ki ye kyun socha tha