اردو हिंदी
Etimad | Shaahi Shayari
etimad

Nazm

Etimad

Akhtar-ul-Iman

;

boli KHud-sar hawa ek zarra hai tu
yun uDa dungi main, mauj-e-dariya baDhi

boli mere liye ek tinka hai tu
yun baha dungi main, aatish-e-tund ki

ek lapaT ne kaha main jala Dalungi
aur zamin ne kaha main nigal jaungi

main ne chehre se apne ulaT di naqab
aur hans kar kaha, main sulaiman hun

ibn-e-adam hun main yani insan hun