tumhaare dukh ek kaghaz par likh kar
us ki ek kashti banai ja sakti hai
aur is kashti par
aane wali do chaar sadiyon ka safar kiya ja sakta hai
tumhein yaad hi hoga
aaj se kuchh sadiyan pahle
jab darbar mein baiThe hue
tum ne apni ungliyan kaT lin thin
main ne apne bhaiyon par e'tibar kiya tha
e'tibar to KHair main ab bhi kar leta hun
un tamam laDkiyon par
jo meri munh-boli mahbubaen hain
lekin main jaanta hun
munh boli mahbubaon ke dukh
sautele bhaiyon ki tarah hote hain
jin par inhisar nahin kiya ja sakta
Nazm
Etibar
Ali Sahil