اردو हिंदी
Eajaz-e-tasawwur | Shaahi Shayari
eajaz-e-tasawwur

Nazm

Eajaz-e-tasawwur

Tasadduq Husain Khalid

;

rah dekhi nahin aur dur hai manzil meri
koi saqi nahin main hun meri tanhai hai

dekhni hai mujhe hairani se taron ki nigah
dur un se bhi kahin dur mujhe jaana hai

us bulandi pe uDe jata hai to sun mera
kahkashan gard si deti hai dikhai mujh ko

rifat-e-gosh se sunta hua mubham sa sharar
meri manzil hai kaha ye kabhi socha hi nahin

is ki fursat hi kise dil mein magar rahta hai
dard wo dard ki hai jis se kamna bita

jaane kuchh rah mere sath hua tha lekin
rah gaya dur kahin haar ke himmat apni

zohra kahne lagi ai bazm falak ke qasid
zard rau pahli hi manzil mein hua to kyun kar

jab ki wo KHaki-e-be-maya baDhe jata hai
past har ek bulandi ko kaTe jata hai

bhaDke ek aah kaha chand ne yun zohra se
ai nigar-e-ruKH-e-zeba-e-bahaar-e-aflak

main bhi hairan hun is himmat aaali pe kahin
husn-e-salma ke tasawwur ka ye 'ejaz' na ho

ye jawan hauslagi parda-dar-e-raaz na ho