kah nahin sakta kahan se aae ho, tum kaun ho
aisa lagta hai ki ye surat hai pahchani hui
KHak mein raunda hua chehra magar ek dilkashi
aankh mein halka tabassum, dil mein koi Tis si
panw se lipTi hui bite hue lamhon ki gard
pairahan ke chaak mein gahre ghamon ki tazgi
pursish-e-gham par bhi kah sakna na apne ji ka haal
kuchh kaha to bas yahi ki tum pe kuchh biti nahin
rah mein chalte hue Thokar lagi aur gir paDe
yunhi kanTe chubh gae hain, phaT gai hai aastin
yaad aata hai ki tum mujh se mile the pahli bar
ek kahani mein na jaane kis ki thi likkhi hui
aur main ne is tarah ke aadmi ko dekh kar
dil mein socha tha ki us se aaj kar lun dosti!
Nazm
Dusri mulaqat
Khalilur Rahman Azmi