andhera hai
abhi tum apne honTon ko
yunhi mere labon se muttasil rakho
abhi us waqt tak thame raho
mere badan ko apni banhon se
ki jab tak
ek dhamake se phaTe
aatish-fishan jismon ka
aur kitne hi qarnon ki chhupi hiddat
bahe lawe ki surat mein
ki jab tak
saeran ki chiKHti makruh mausiqi
faza ko phaD de aur jagmagaen bijliyan har su
Nazm
Dusre saeran se pahle
Anwar Maqsood Zahidi