اردو हिंदी
Dusre hath ka dukh | Shaahi Shayari
dusre hath ka dukh

Nazm

Dusre hath ka dukh

Shariq Kaifi

;

main tujh se kyun KHafa hone laga qazi
meri to ruh tu ne pak kar di ye saza de kar

kabhi main sochta bhi jurm ko apne
to ab shayad na sochunga

han
bura gar man sakta hai

to mera dusra ye hath
jis ka ek hi sathi tha is duniya mein

jo kuhni se tu ne kaT Dala
aur ye apne yar ka gham

kis qadar
aur kis tarah leta hai dil par

is ka mujhe koi andaza nahin hai