اردو हिंदी
Dusre darje ki pichhli qatar ka aadmi | Shaahi Shayari
dusre darje ki pichhli qatar ka aadmi

Nazm

Dusre darje ki pichhli qatar ka aadmi

Shakeel Azmi

;

gosht machhli sabziyan baniye ka ration dudh ghi
mujh ko khati hain ye chizen main ne kab khaya inhen

mera ghar rahta hai mujh mein ghar mein main rahta nahin
biwi bachchon ke phaTe kapDon mein hun

aur nae joDon ki KHushiyon mein chhupa jo karb hai wo bhi hun main
fees mein school ki copy kitabon mein bhi main

main hi hun chulhe ki gas
main hi hun stowe ka gas

mere jute jonk ki manind mere panw se lipTe hue hain
chuste hain mera KHun

mera scooter mere kandhon pe baiTha hai
main us ke tyron mein lipTa hun aur ghista hun