kal shab ajib ada se tha ek husn mehrban
wo shabnami gulab si rangat dhuli dhuli
shanon pe be-qarar wo zulfen khuli khuli
har KHat-e-jism pairahan-e-chust se ayan
Thahre bhi gar nigah to Thahre kahan kahan
har zawiye mein husn ka ek taza bankpan
har daere mein khilte hue phul ki phaban
aankhon mein Dolte hue nashshe ki kaifiyat
ru-e-hasin pe ek shikasta si tamkanat
honTon pe an-kahi si tamanna ki larzishen
banhon mein lamha lamha simaTne ki kawishen
sine ke jazr-o-mad mein samundar sa iztirab
umDa hua sa jazba-e-bedar ka azab
KHushbu tawaf-e-qamat-e-zeba kiye hue
shisha badan ka azm-e-zuleKHa liye hue
phir yun hua ki chhiD gai yusuf ki dastan
phir main tha aur paki-e-daman ka imtihan
ek sanp bhi tha aadam o hawwa ke darmiyan
Nazm
Dusra tajraba
Himayat Ali Shayar