اردو हिंदी
Dusra pahaD | Shaahi Shayari
dusra pahaD

Nazm

Dusra pahaD

Sara Shagufta

;

ye dusra pahaD tha
jahan chizon mein meri umr ke kuchh hisse paDe the

main yahan se kitni be-tartib gai thi
aur main apna din gard kar ke aa rahi thi

sari chizon ne mujhe gale lagaya
main ne chhoTe jute chhabaDi wale ko faroKHt kar diye

aur sikke hanger mein paDe chhoTe kapDon mein Dal diye
main aaine ke samne khaDi hui

aur apni aankhon ki jhurriyan ginne lagi
aag par parinde senkne lagi

to bhuk meri eDi se Dar nikli