sajae KHwab aankhon mein
sahar se sham tak
anjaan rahon mein
ubharte Dubte sayon ko takti hai
koi shahzada aa jae
bana kar KHwab ka hissa
use le kar chala jae
khula rahta hai har lamha
daricha dard ka us ke
magar aata nahin koi
siyahi sham Dhalte hi
nigal jati hai KHwabon ko
ujalon chhoD jata hai
use phir dusra bistar sajaane ko
Nazm
Dusra bistar
Adil Hayat