اردو हिंदी
Duri | Shaahi Shayari
duri

Nazm

Duri

Zia Jalandhari

;

meri nazar mein hai ab tak wo sham wo mahfil
wo ek hujum-e-tarb wo nashat-e-naghma-o-nur

sharir laDkiyan rangin titliyan betab
labon pe gul-kada-e-guftugu khilae hue

wo qahqahe wo masarrat ki nuqrai jhankar
aur is hujum mein tum jaise gulsitan mein bahaar

main apne gosha-e-kam-tab mein hujum se dur
udas nazron mein maddham diye jalae hue

tum aain hansti hui aain barq ke manind
mere qarib se kitni qarib se guzrin

bhaDakta shoala tha jaise wo gosha-e-kam-tab
mere qarib ho aur kis qadar qarib ho aaj

nazar nazar mein liye qahqahon ki tabani
faza mein chand ki kirnen nikhar ke bikhri hain

magar kabhi kabhi jis tarah koi saya sa
tumhaari palkon se kuchh kah ke lauT jata hai

dabi dabi wahi sargoshiyan wahi aawaz
ki is jamal o masarrat ki tah mein pinhan hai

wo ruh-e-tira jise ek kiran nasib nahin
mere qarib ho aur kitni dur ho mujh se

KHushi ka sath to hai aansuon ka sath nahin
hanso aur itna hanso tum baras paDen aankhen

phir in sulagte hue aansuon mein bah jae
wo dard aur wo duri jo qahqahon mein hai