اردو हिंदी
Duri | Shaahi Shayari
duri

Nazm

Duri

Muneer Niyazi

;

dur hi dur rahi bas mujh se
pas wo mere aa na saki thi

lekin us ko chah thi meri
wo ye bhed chhupa na saki thi

ab wo kahan hai aur kaisi hai
ye to koi bata na sakega

par koi us ki nazron ko
mere dil se miTa na sakega

ab wo KHwab mein dulhan ban kar
mere pas chali aati hai

main us ko takta rahta hun
lekin wo roti jati hai