main to paidaish hi se ek shahzadi thi
husn mere paikar mein yun dar aaya tha
singhaar ke aaine mein jab main jhankti to
KHud par shaida hone lagti
KHwahish mere dil mein paida hone lagti
ki meri puja log karen
sar la ke mere qadmon par dharen
lekin jab main ne angDai se husn pe apne naz kiya
mahsus kiya ki duniya ko naraaz kiya
thuka nafrat se logon ne
aur mujh ko na-hanjar kaha
badkar kaha
ek roz unhon ne baalon se mere afshan
meri nochi, noche kanon se aaweze
banhon se chuDi aur kaDe
yun hathon kanon se mujh ko nangi kar ke
ek zindan mein Dal diya
qumchi ke nishanon se mera shaffaf badan
nila tha magar
main ne na jhukaya apna sar
ki main to paidaish hi se thi ek sultana
jab tham ke main diwar uThi
to tab bhi meri chaal mein tha
pahla sa waqar-e-shahana
be-dagh ek aaine ke gahre baatin mein
apne raushan mathe pe likhe
asrar jo paDhna chahti main
Dar jati main
ye puchhti KHud se kaun hai tu?
aamaq se meri ruh ke ek aawaz ubhar kar ye kahti
hai teri duniya dur kahin
us lamhe ke phailaw mein main Dar ke samai rahti thi
aankhon se meri ashkon ki dhaara bahti thi
tha mujh ko yaqin ek roz mera shohra sun kar
chaar aaina bandhe aaega
mera pujari shahzada
aur qaid se meri mujh ko chhuDa le jaega
suraj ki rath-gaDi mere sar par se roz guzarti thi
aangan mein utarte sae ko main KHauf se dekha karti thi
jab wo na mujhe lene aaya
to ek din main ne maut se minnat ki ki aa
ai meri mohram! mujh mein sama
wo mera kahna man ke mujh mein yun mastana dar aai
ki mere KHun mein chhan chhan ghunghru baj uTThe
main jhum uThi
aur chand ke daf par aangan mein shab bhar nachi-
us subh unhon ne mere badan ko chaukhaT par murda paya
Nazm
Dur ki shahzadi
Asif Raza