mere mahbub des ki galiyo
tum ko aur apne doston ko salam
apne zaKHmi shabab ko taslim
apne bachpan ke qahqahon ko salam
umr bhar ke liye tumhaare pas
rah gai hai shaguftagi meri
aaKHiri raat ke udas diyo
yaad hai tum ko bebasi meri
yaad hai tum ko jab bhulae the
umr-bhar ke kiye hue wade
rasm-o-mazhab ki ek pujaran ne
ek chandi ke dewta ke liye
jaane is kar-gah-e-hasti mein
us ko wo dewta mila ki nahin
meri kaliyon ka KHun pi kar bhi
us ka apna kanwal khila ki nahin
aaj-kal us ke apne daman mein
pyar ke git hain ki paise hain
tum ko malum ho to batlana
us ke aanchal ke rang kaise hain
mujh ko aawaz do ki subh ki os
kya mujhe ab bhi yaad karti hai
mere ghar ki udas chaukhaT par
kya kabhi chandni utarti hai
Nazm
Dur ki aawaz
Mustafa Zaidi