Dher kirchiyon ke
aankh mein hain lekin
aaine nauha
har kisi qalam ki dastaras se bahar
raushni ke ghar mein
tirgi ka patthar
kis taraf se aaya
kaun hai wo aaKHir
jo pas-e-tamasha muskura raha hai
ek sawal hoti hai
zindagi nagar ki
surKHiyan KHabar ki khojti hai lekin
KHwab ke safar ki saaton pe qadghan
soch rehn-e-sar hai
nind ki sahar jo
qarya-e-tamanna luT le gaya
us ke naqsh-e-pa bhi
chun liye hawa ne
munsifi ke dai
be-yaqin mausam banTte hain ghar ghar
aur haDDiyon ke na-tawan se panjar
surKH battiyon ke KHauf ki saDak par
siren bajati ek na-gahani
ta-abad taaqub
KHatm hai kahani
Nazm
Dubte suraj ki sargoshi
Saeed Ahmad