اردو हिंदी
Dushwari | Shaahi Shayari
dushwari

Nazm

Dushwari

Javed Akhtar

;

main bhul jaun tumhein
ab yahi munasib hai

magar bhulana bhi chahun to kis tarah bhulun
ki tum to phir bhi haqiqat wo

koi KHwab nahin
yahan to dil ka ye aalam hai kya kahun

kam-baKHt!
bhula na paya wo silsila

jo tha hi nahin
wo ek KHayal

jo aawaz tak gaya hi nahin
wo ek baat

jo main kah nahin saka tum se
wo ek rabt

jo hum mein kabhi raha hi nahin
mujhe hai yaad wo sab

jo kabhi hua hi nahin