phailti hai sham dekho Dubta hai din ajab
aasman par rang dekho ho gaya kaisa ghazab
khet hain aur un mein ek ru-posh se dushman ka shak
sarsarahaT sanp ki gandum ki wahshi gar mahak
ek taraf diwar-o-dar aur jalti-bujhti batiyan
ek taraf sar par khaDa ye maut jaisa aasman
Nazm
Dushmanon ke darmiyan sham
Muneer Niyazi