duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun
aa jata hai in baaton mein duniya ke mera dil
juT jata hun main kaam mein ji-jaan laga kar
phir be-KHabari had se guzar jati hai meri
baTta nahin chal paDta hun jab apni Dagar par
ye dekh ke kuchh rose to chup rahti hai duniya
de jati hai nagah magar mujh ko dagha bhi
is darja KHafa hoti hai wo meri rawish se
hoga na kabhi itna KHafa mera KHuda bhi
duniya ko nazar aate hain na-waqt bhi mujh mein
wo aib ki phir kuchh mujhe karne nahin deti
pahunchati hai wo choT ki ji rahna ho dushwar
marne ko hun tayyar to marne nahin deti
duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai
main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun
Nazm
Duniya to ye kahti hai
Shaheen Gazipuri