duniya ko kahan tak jaana hai
ye kitna baDa afsana hai
sab kan lagae baiThe hain
aur raat sarakti jati hai
ye raat kahan tak jaani hai
kuchh is ka or-o-chhor nahin
ye raat samundar hai jis mein
aawaz bahut hai rone ki
bas dur tilak tariki hai
kuchh dur zara si raushaniyan
phir tariki phir raushaniyan
ye raat bala ki maya hai
jo kuchh ka kuchh kar deti hai
aankhon ko jagati hai barson
phir nind ka dhakka deti hai
phir KHwab dikhati hai barson
phir KHwabon se chaunkati hai
ye khel bhayanak raaton ka
insan ki nannhi zaton ka
KHush hona aur dahal jaana
phir aansu aansu gal jaana
is khel mein jo bhi haar gaya
phir muTThi se sansar gaya
is khel mein phansna hai pyare
bas hath mein jitni miTTi hai
us miTTi se sansar bana
use apne aansu ka pani
use apne hijr ki garmi de
use mausam mausam narmi de
ise apne ang laga pyare
use apne rang laga pyare
duniya ko kahan tak jaana hai
ye kitna baDa afsana hai
ye bhed na koi jaan saka
is bhed ka chakkar bhaari hai
Nazm
Duniya ko kahan tak jaana hai
Farhat Ehsas