dulhan ganji hai dulhan ganji hai
laDkiyan taliyan bajate hue bolin
aur der tak zor zor se hansti rahin
kuchh auraton ne unhen aahista se DanTa
aur dulhan ke pas ja ke use chup karane lagin
wo ro rahi thi
us din se le kar pure tin baras tak wo
aahista aahista khanste khanste aur rote rote mar gai
us ki beTi ab sola baras ki hai
zamin ko chhute hue us ke
siyah reshmi baal sab ko hairan karte hain
un laDkiyon ko bhi jo apne baalon bhare
safed sar ki wajh se
ab dulhan nahin ban sakengi
Nazm
Dulhan
Zeeshan Sahil