اردو हिंदी
Dukhti haDDiyon ki wakalat | Shaahi Shayari
dukhti haDDiyon ki wakalat

Nazm

Dukhti haDDiyon ki wakalat

Mohammad Haneef Rame

;

dikhti haDDiyan kahti hai aaram karo ab
dil kahta hai abhi nahin abhi to kaam paDa hai sab

magar ek aur hi boli bolta hai dimagh
pahle kaun sa tir mar liya tha aap ne jo ab phir chale hain jauhar dikhane

sarauTe ka don khote aur sarshaar ka KHudai faujdari bhi
taDapte honge qabr mein paDe paDe

aap ki be-qarariyan dekh kar
duniya hi to badal Dali aap ne apni tahriron aur taqriron se

aur kya kahne hain aap ki siyasat ke
soton ko jaga diya aap ne

zer-daston ko uTha diya zabardaston ko gira diya aap ne
sach-much ka inqilab hi to barpa kar ke rakh diya aap ne

chhoD jaane dijiye bahut ho gai janab
sunahre harfon mein likha ja chuka hai aap ka nam an-likhi tariKH mein

aap wo hero hain koi git nahin gata jis ke
wo gumnam sipahi hain jise sirf

aasman ki aankh ne dekha hota hai dad-e-shujaat dete
agar aap ke hathon waqai koi achchha kaam sarzad ho gaya tha to

yaqinan pata hoga us ka KHuda ko
wo is ka zarur ajr dega aap ko

aur sabr se baDh kar kya ho sakta hai ajr
sabr kijiye zara

dukhti haDDiyon ki bhi sun lijiye zara
is KHana-KHarab-e-dil ki man kar hi to aap hue hain KHana-KHarab

hamesha bahkaya hai us ne aap ko
ghalat-salat raston par chalaya hai aap ko

jahan chup rahne mein maslahat thi wahan bolne par uksaya hai aap ko
jab hath baDha kar jam uThane ka waqt tha to

inkisari ke chakkar mein phansaya hai aap ko
zara apne badan se pochhiye apni umr aur phir puchh kar dekhiye dil se

aap sattar ke hain na magar badan kahe ga sal
aur dil bataega chaalis sal

is dil par KHun ki gulabi ne
huliya bigaD kar rakh diya hai achchhe-bhale insan ka

paDhe-likkhe sharif aadmi ko dhakel diya hai
siyasat ke qassab-KHane mein

bhai jis ka kaam usi ko saje aur kare to Thenga baje
aap kyun pareshan hote hain har bari KHabar par

waise kabhi KHair ki KHabar bhi aai hai watan-e-aziz se
yaad nahin raha aap ke to murshid bhi kahte the bar bar

wo kaam hamari zimmedari nahin hota jis ki anjam-dahi ka saman na de KHuda
umar-faruq ko zeb deta tha fikrmand hona

furaat ke kinare bhuk se mar jaane wale kutte ke liye
is liye ki wo the KHalifa-a-waqt

to kan mein KHwah-maKHwah
aap to kotwal bhi nahin kisi shahr ke

aur chale hain pure malak ki fikr karne
balki sari insaniyat ka gham pal rakha hai aap ne to

main ne pahle bhi kaha shairon ki bak bak na suna karen aap ziyaada
ba-qaul-e-KHuda wo to aadi hain ghalat-bayani ke

haha kanTa chubhe kisi ko taDapte hain hum amir sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
aap ko auron ki paDi hain pahle apni to nabeD len aap

charity begins at home janab
aaiye sukun se baiThe do ghaDi

ziyaada der khaDe rahne se aur baDh jaega ghuTne ka dard
kya KHayal hai sabz chae ke bare mein

ya phir pi lijiye ThanDa miTha ruh-afza
sine aasmani mausiqi baKH aur motzarT ki

Dhila chhoDiye zara aasab ko
so jaiye so jaiye nind aa jae agar

lori dun aap ko
raat-din gardish mein hain sat aasman

ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya