andhere se
kashid-e-subh ki
raushan gawahi mangne se
raat ke lamhe
na ghaTte hain
na baDhte hain
kabhi gahre bhanwar ke beach uThti
duriyon ki dhund mein lipTi
kisi ki sahili aawaz
dariya ka kinara bhi nahin hoti
dukhon ki apni ek tafsir hoti hai
jo apne lafz KHud ijad karti hai
jo KHwabon se ulajhti hai
jo KHwabon se ziyaada
mo'atabar hoti hai
lekin kashf ka lamha
masafat ki hazaron manzilon ke baad aata hai
numud-e-gauhar-e-kamyab ki saat mein
KHali sipiyon ka Dher be-mani nahin hota
Nazm
Dukhon ki apni ek tafsir hoti hai
Yasmeen Hamid