اردو हिंदी
Dukh | Shaahi Shayari
dukh

Nazm

Dukh

Siddique Kaleem

;

dukh ek jangal hai ghanera gahra
uljhi shaKHon ke rag-o-pai mein larazte patte

har taraf dur talak tez hawa chiKHti hai
aabshaar aate hain shaen shaen

aur shoalon ke samundar ban kar
sanp lahren hain zaban kholti hain

ek pur-asrar KHamoshi ki har ek samt pukar
har taraf dur bhi nazdik bhi upar niche

ek gambhir andhera sahra