اردو हिंदी
Dukh | Shaahi Shayari
dukh

Nazm

Dukh

Siddique Kaleem

;

ek jangal hai ghanera gahra
uljhi shaKHon ke rag-o-pai mein sahamte patte

har taraf dur talak tez hawa chiKHti hai
aabshaar aate hain sada ki manind

aur shoalon ke samundar ban kar
sanp lahren hain zaban ko khole

ek pur-asrar KHamoshi ki har ek samt pukar
har taraf daur bhi nazdik bhi upar niche

ek gambhir andhera sahra