main hun ya tum ho
ye sach hai
apne andar ek qabila har koi hai
jis ko shayad
raat ko sahra ke rone ka raaz pata hai
aisa rona
dur kahin jaise kuchh bachche
sadiyon pahle hum ne jin ko qatl kiya ho
aur wo apne qatl se pahle
roe chale jate hon
ya phir
ye un ruhon ka rona ho
jo insani rup mein zahir ho na saki hun
ret ke Tilon ko chhu chhu kar
misl-e-hawa
roe jati hun
aur qabile ke bashinde
hum
apne KHemon mein leTe
apne aap se baaten karte
raat ko sahra ki tanhai ka rona sunte rahte hain
sarangi ki sur ki tarah sisakta sahra
hum sab mein hai
lekin phir bhi
mera rona
tera rona
dukh se KHali KHali kyun hai
Nazm
Dukh se Khaali Khaali rona
Manmohan Talkh