dukh ke rup hazaron hain
hawa bhi dukh aur aag bhi dukh hai
main tera tu mera dukh hai
par ye maile aur gahre aakash ka dukh
jo qatra qatra Tapak raha hai
is dukh ka koi ant nahin hai
jab aakash ka dil dukhta hai
bachche buDhe shajar hajar chiDiyan aur kiDe
sab ke andar dukh ugta hai
phir ye dukh aankhon ke raste
galon par bahne lagta hai
phir ThoDi ke panj-nad par sab dukhon ke dhaare aa milte hain
aur shabnam sa mukh dharti ka
KHud ek dhaara ban jata hai
suna yahi hai
pahle bhi ek bar dukhi aakash ki aankhen Tapak paDi thin
par dharti ki aaKHiri naw
zist ke bikhre TukDon ko chhati se lagae
pani ki sarkash maujon se laDti-bhiDti
dur ufuq tak ja pahunchi thi
aaj magar wo naw kaun se des gai hai
dukh maile aakash ka dukh
ab chaaron jaanib umaD paDa hai
qatra qatra Tapak raha hai
Nazm
Dukh maile aakash ka
Wazir Agha