wo din bhi kaise din the
jab teri palkon ke sae
sham ki gahri udasi ban ke
meri ruh mein jadu jagate the
meri aankhon mein ninden
tere baalon ki tarah aise subuk se jal banti thin
ki jo halqa-ba-halqa KHwab-andar-KHwab
anjaane zamanon ki gurezan saaton par
abr ki surat baraste the
badalte mausamon ki tarah tere jism par aalim guzarte the
meri jaan to bahaar-e-jawedan ka ek mausam thi
jo meri ruh mein aaya
mujhe kyun yaad aate hain
wo din
jawab na aaenge
na aaenge to phir kyun yaad aate hain
wo din bhi kaise din the
jab meri bedariyon ki sarhaden KHwabon se milti thin
wo baaten jo ki na-mumkin hain mumkin thin
jahan bas soch lena aur ho jaana barabar tha
tujhe kya yaad hai wo din
ki jab harf-e-shikayat ki girah si paD gai thi
mere sine mein
meri aazurdagi se sham ke chehre pe zardi thi
main tere pas baiTha sochta tha
jaane kya kya sochta tha
tujhe kya yaad hai
tu ne kaha tha
main dil ki baat agar us se bhi
kah sakti to kah deti
ki mere jism mein do dil dhaDakte hain
tumhaare waste bhi
jo dushman-e-jaan hai
Nazm
Dukh ki baat
Saleem Ahmed