wo aise ruThi hai mujh se
mujhe pas nahin aane degi
kahti hai dur haTo lekin
mujhe dur nahin jaane degi
jab us ke pas main aata hun
kya kahta hun kuchh yaad nahin
bas yaad agar hai itna hai
in aaankhon mein is takiye par
kuchh aansu hain kuchh moti hain
ya un aaankhon ki jhilon mein
ek kashti hai kuchh tare hain
ye tare hain ya jugnu hain
jis sofe par main baiTha tha
ye us kamre ki khiDki se
kaise uD uD kar aae hain
ye baadal kaise chhae hain
jab us ke pas main aata hun
kuchh bunden mere kandhe par
Tap Tap girne lagti hain
kya kahta hun main ye yaad nahin
bas yaad agar hai utna hai
jo baadal ghir ghir aae the
sab baadal chhaTne lagte hain
un achchhi aaankhon mein raushan
raushan raushan rim-jhim raushan
aansu hansne lagte hain
Nazm
Dukh ki aankhen nili hain
Mushaf Iqbal Tausifi