nim ke sae mein
ek khurdure footpath par
lahakte suraj se pare
shikasta chobi gaDi ki zamin pe
TeDhe meDhe hath panw mein
ulajhti hayat
gham-zada aankhon ke dard
lab pe ek KHamosh karb
munh se kuchh bahte luab
apni jaanib
khinchte hain
bolte sukun ke Dher
Nazm
Dukan
Jafar Sahni