ye tajiran-e-din hain
KHuda ke ghar makin hain
har ek KHuda ke ghar pe un ko apna nam chahiye
KHuda ke nam ke ewaz kul intizam chahiye
har ek chahta hai ye
mera KHuda KHarid lo
na kar sake ye tum agar
ye tajiran-e-pesha-war
karenge tum se yun KHitab
intiqam chahiye
meri kitab jo kahe
wo hi nizam chahiye
KHuda ke jitne rup hain
unhon ne KHud banae hain
har ek KHuda mein sahibo
wo sari KHubiyan hain jo
unhen bahut aziz hain
har ek dukan par yahan
naya KHuda saja hua
har ek dukan-dar ki
faqat yahi hai iltija
mera KHuda KHarid lo
KHuda ki bhi sune koi
wo kah raha hai bas yahi
ki sahibo main ek hun
mere siwa koi nahin
kisi ki baat mat suno
mera to koi ghar nahin
dilon mein bas raha hun main
har ek pal
har ek sans
tum mein ji raha hun main
na KHud tum apni jaan lo
ki tum hi meri jaan ho
jo tum ne jaan war di
to main kahan basunga phir
mera to koi ghar nahin
jo bechte hain apne ghar
saja ke mere nam par
ye nafs ke asir hain
ye log be zamir hain
Nazm
Dukan-dar
Adeel Zaidi