byaz-e-shab-o-roz par dastaKHat tere qadmon ke hon
badan ke pasine se qarnon ke auraq mahken
saba tere raste se kankar haTae
falak par garajta hua garm baadal
tere tan ki qaus-e-quzah ka
larazta damakta hua koi manzar dikhae
tujhe har qadam par milen manzilen
hawa ke ek barik se tez chabuk ki surat
teri band muTThi mein dubki rahe
sada tujh ko hairat se dekhe zamana
to bahte hue tez dhaaron ki manzil bane
baadban sare teri hi jaanib khulen
aur ufuq ki munDeron pe koDon ko lambi qataren
teri muntazir hun
agar main zamin ke siyah tang patal mein gir bhi jaun to kya hai
tujhe to zamin kore kaghaz ki surat mile
byaz-e-shab-o-roz par dastaKHat tere qadmon ke hon
chahakte hue tinon naT-khaT zamane
tere guru nachen
to bansi ki tanon se har shai ko pagal kare nazr-e-atish kare
toD Dale
magar KHud na TuTe
kabhi to na TuTe
Nazm
Dua
Wazir Agha