dua aur bad-dua ke darmiyan jab rabte ka pul nahin TuTa
to main kis tarah pahuncha bad-duaen dene walon mein
main un ki ham-nawai par hua mamur
ham-awaz hun un ka
ki jin ke nama-e-amal mein in bad-duaon ke siwa kuchh bhi nahin
un ke kahe par aaj tak baadal nahin barse
kabhi mausam nahin badle
koi tufan, koi sailab un ki aarzuon se nahin palTa
ye nadan, sare maqtulon ki fihristen uThae aasman ko dekhte hain
aur samajhte hain ki duniya un ke nam aur shakl-o-surat bhul jaegi
wagarna qatilon ko KHud-kushi karna paDegi
aur ye itne bahadur bhi nahin hote
to jab tak aasmanon aur hamare darmiyan hail
hujum-e-qatilan chhaTta nahin haTta nahin parda
dua aur bad-dua ke lafz ham-mani rahenge
ab dua-e-zindagi qatil ko den
ya bad-dua KHud ko
Nazm
Dua aur bad-dua ke darmiyan
Ghulam Mohammad Qasir