اردو हिंदी
Dua | Shaahi Shayari
dua

Nazm

Dua

Ahmad Nadeem Qasmi

;

mujhe tu muzhda-e-kaifiyyat-e-dawami de
mere KHuda mujhe eazaz-e-na-tamami de

main tere chashma-e-rahmat se kaam kaam rahun
kabhi kabhi mujhe ehsas-e-tishna-kaami de

mujhe kisi bhi muazzaz ka ham-rikab na kar
main KHud kamaun jise bas wo nek-nami de

wo log jo kai sadiyon se hain nasheb-nashin
buland hun to mujhe bhi buland-baami de

teri zamin ye tere chaman rahen aabaad
jo dasht-e-dil hai use bhi tu lala-fami de

baDa surur sahi tujh se ham-kalami mein
bas ek bar magar zauq-e-KHud-kalami de

main doston ki tarah KHak uDa nahin sakta
main gard-e-rah sahi mujh ko narm-gami de

agar girun to kuchh is tarah sar buland girun
ki mar kar mera dushman mujhe salami de