agar main jism hun to sar se panw tak main jism hun
agar main ruh hun to phir tamam-tar main ruh hun
KHuda se mera silsila wahi hai jo saba se hai
agar main sabz peD hun
to ruh aur jism ki
wo kaun si haden hain faslon mein jo badal gain
zamin meri kaun hai
chamakta nil-gun hasin aasman kaun hai
jo barg o gul mein dhire dhire jazb ho rahi hai dhup
zard dhup kyun mujhe aziz hai
ye sochta hun sab magar main taqchon mein band yun
main nam koi DhunDhta hun aaj apne karb ka
talash kar raha hun ek ek pal
qatar-dar-qatar shishon ke is hujum mein
wo aasman kya hua wo sabz peD kya hua
jigar mein aag thi magar jigar sufuf ban gaya
jo surKH tha kabhi mera lahu sapid ho gaya
main boTiyon mein kaT gaya
main dhajjiyon mein nuch gaya
yahan pe meri raushni, yahan pe meri zindagi
saped, surKH, zard, nilgun, siyah, lablon mein baT gai
saba ki rahguzar se dur haT gai
Nazm
Drug store
Balraj Komal