ye scenary hai ye taj-mahal ye kirshn hain aur ye radha hain
ye coach hai ye pipe hai mera ye nowel hai ye risala hai
ye radio hai ye qumqume hain ye mez hai ye gul-dasta hai
ye 'gandhi' hain 'tagore' hain ye ye shahansha ye malika hain
har chiz ki babat puchhti hai jaane kitni masum hai ye
han is par raat ko sone se miThi miThi nind aati hai
han is ke dabane se bijli ki raushni gul ho jati hai
samjhi ki nahin ye kamra hai han mera drawing-room hai ye
itni jaldi mazdur aurat aaKHir ye gale mein banhen kyun
le der hui ab bhag bhi ja bas itni mohabbat kafi hai
is mulk ke bhuke pyason ko paise hi ki hajat kafi hai
itni hansmukh KHamoshi itni manus nigahen kyun
main soch raha hun kuchh baiTha pipe ke dhuwen ke baadal mein
main chhup sa gaya hun ek nazuk taKHil ke maile aanchal mein
Nazm
Drawing-room
Salam Machhli shahri