mauj-e-sahba mein tamanna ke safine kho kar
naghma o raqs ki mahfil se jo ghabra ke uTha
ek hansti hui guDiya ne ishaare se kaha
tum jo chaho to main shab bhar ki rifaqat baKHshun
jumbish-e-abru ne alfaz ki zahmat bhi na di
nim-wa aankhon mein ek dawat-e-KHamosh liye
yun simaT kar meri aaghosh mein aai jaise
bhari duniya mein bas ek gosha-e-rahat tha yahi
hum bhi viran guzargahon pe chalte chalte
ghar tak aae to koi rang-e-takalluf hi na tha
do badan milte hi yun hamdam-e-derina bane
tandahi-e-shauq mein duri ka har ehsas miTa
subh ke sath khuli aankh to ehsas hua
mere sine mein koi chiz thi jo TuT gai
der se dekh rahi thi teri taswir mujhe
tere aariz pe thi bahte hue ashkon ki nami
teri KHamosh nigahon mein koi shikwa na tha
dekhte dekhte virani-e-dil aur baDhi
teri taswir ko sine se laga kar puchha
kis tarab-zar mein aasuda hai ai rahat-e-zist
mujhe in aag ke shaalon mein kahan chhoD gai
Nazm
DozaKH
Mahmood Ayaz