main bahut akela hun
tum mujh se dosti kar lo
shahr kahta hai
aur apne hath
hamari taraf phaila deta hai
hum us ke hathon ko dekhte hain
aur Dar jate hain
shahr ke hath kuhniyon tak
jale hue hain
aisi haalat mein
koi kisi ke hath
bhala kaise tham sakta hai
koi kisi ke sath
kaise dosti kar sakta hai
hum apna munh pher lete hain
aur shahr se dur
jaane lagte hain
hamein apne pas se jata dekh kar
shahr ko shayad bahut Dar lagta hai
wo jaldi jaldi hamare pichhe aane lagta hai
aur kahta hai mujhe bhi
apne sath le chalo
apne hathon ko ek safed kapDe se chhupate hue
wo apni baat dohraata hai
use apne sath aata dekh kar
hum ruk jate hain
shahr bhi ruk jata hai
hum us ke pairon ko dekhte hain
aur apni aankhen
band kar lete hain
us ke pairon ki ungliyon mein
bahut se chhape paDe hue hain
us ki eDi aur talwon se
KHun bah raha hai
hum shahr se kahte hain
canwas ke jute
aur uni moze pahne baghair
tum hamare sath nahin chal sakte
apne raste par
chalne lagte hain
hamari baaton se shahr ki aankhon mein
kitne aansu jama ho jate hain
hum unhen nahin dekhte
hamare jaane se shahr ke dil par
kya asar hoga
hamein us ki koi fikr nahin
hamare baghair shahr
kis qadar udas kitna akela ho jata hai
us ke baghair apne raste par chalte hue
hamein us ka andaza hi nahin hota
hum nahin jaante
jab bhi hamein kuchh hota hai
hamare doston ki tarah shahr
hamare liye pareshan ho jata hai
hamein bachane ke liye
hum jahan bhi kahin hon
wo apne zaKHmi pairon ke sath
hamari samt mein
dauDne lagta hai
hamein na pa kar
apne
kuhniyon tak jale
hath uTha kar
shahr hamari KHairiyat ki
duaen mangne lagta hai
Nazm
Dost
Zeeshan Sahil