اردو हिंदी
Dorahe | Shaahi Shayari
dorahe

Nazm

Dorahe

Kafeel Aazar Amrohvi

;

kab talak KHwabon se dhoka khaogi
kab talak school ke bachchon se dil bahlaogi

kab talak munna se shadi ke karogi tazkire
KHwahishon ki aag mein jalti rahogi kab talak

chhuTTiyon mein kab talak har sal dilli jaogi
kab talak shadi ke har paigham ko Thukraogi

chae mein paDta rahega aur kitne din namak
band kamre mein paDhogi aur kitne din KHutut

ye udasi kab talak
kab talak nazmen likhogi

roogi yun raat ki KHamoshiyon mein kab talak
bible mein kab talak DhunDogi zaKHmon ka ilaj

muskurahaT mein chhupaogi kahan tak apne gham
kab talak puchhogi telephone par mera mizaj

faisla kar lo ki kis raste pe chalna hai tumhein
meri banhon mein simaTna hai hamesha ke liye

ya hamesha dard ke shoalon mein jalna hai tumhein
kab talak KHwabon se dhoke khaogi