اردو हिंदी
Doraha | Shaahi Shayari
doraha

Nazm

Doraha

Sahar Ansari

;

(KHud-kalami)
tum jhuT aur sach ke dorahe par the

guzarte lamhon ki aawaz ne tum se puchha
kya tum sach ki rah par chal sakte ho

tum chup hi rahe
guzarte lamhon ki aawaz ne tum se puchha

kya tum jhuT ki rah pe chal sakte ho
tum chup hi rahe

aur han ke sare lamhe guzar gae
tum jaante ho han kahne ke to sare lamhe guzar gae

ab jhuT aur sach ke dorahe par yun khaDe hue
nahin ke lamhon ko be-kar ganwate kyun ho