jag ai narm-nigahi ke pur-asrar sukut
aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai
jo KHud apne hi salasil mein giraftar rahe
un KHudaon se mere gham ki dawa kya hogi
sochte sochte thak jaenge nile sagar
jagte jagte so jaega maddham aakash
is chhalakti hui shabnam ka zara sa qatra
kisi masum se ruKHsar pe jam jaega
ek tara nazar aaega kisi chilman mein
ek aansu kisi bistar pe bikhar jaega
han magar tera ye bimar kidhar jaega
main ne ek nazm mein likkha tha ki ai ruh-e-wafa
chaarasazi tere naKHun ki rahin-e-minnat
gham-gusari teri palkon ki riwayat mein hai
ek chhoTi hi si ummid-e-tarab-zar sahi
ek jugnu ka ujala meri barsat mein hai
lazzat-e-ariz-o-lab saat-e-takmil-e-visal
meri taqdir mein hai aur teri baat mein hai
dair se, kabe se, idrak se bhi ukta kar
aaj tak dil ko ujale ki talab hoti hai
ek din aaega jab aur bhi uryan ho kar
aadmi jine ko thoDi si ziya mangega
git ke, phul ke, ashaar ke, afsanon ke
aaj tak hum ne banae hain khilaune kitne
ye khilaune bhi na hote to hamara bachpan
sochta hun ki guzarta to guzarta kaise
aadmi zist ke sailab se laDte laDte
bich manjdhaar mein aata to ubharta kaise
der se ruh pe ek KHwab-e-giran tari hai
aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai
aaj phir dosh-e-tamanna pe hai dil ka tabut
jag ai narm-nigahi ke masihana sukut
warna insan ki fitrat ka talawwun mat puchh
is sin-o-sal ka maghrur laDakpan mat puchh
aadmi teri is uftad se bad-dil ho kar
aur do-chaar KHudaon ke alam pujega
aur ek roz is andaz se bhi ukta kar
apne be-nam KHayalon ke sanam pujega
Nazm
Doraha
Mustafa Zaidi