ye jiwan ek rah nahin
ek doraha hai
pahla rasta
bahut sahal hai
is mein koi moD nahin hai
ye rasta
is duniya se bejoD nahin hai
is raste par milte hain
reton ke aangan
is raste par milte hain
rishton ke bandhan
is raste par chalne wale
kahne ko sab sukh pate hain
lekin
TukDe TukDe ho kar
sab rishton mein baT jate hain
apne palle kuchh nahin bachta
bachti hai
be-nam si uljhan
bachta hai
sanson ka indhan
jis mein un ki apni har pahchan
aur un ke sare sapne
jal bujhte hain
is raste par chalne wale
KHud ko kho kar jag pate hain
upar upar to jite hain
andar andar mar jate hain
dusra rasta
bahut kaThin hai
is raste mein
koi kisi ke sath nahin hai
koi sahaara dene wala nahin hai
is raste mein
dhup hai
koi chhanw nahin hai
jahan tasalli bhik mein de de koi kisi ko
is raste mein
aisa koi ganw nahin hai
ye un logon ka rasta hai
jo KHud apne tak jate hain
apne aap ko jo pate hain
tum is raste par hi chalna
mujhe pata hai
ye rasta aasan nahin hai
lekin mujh ko ye gham bhi hai
tum ko ab tak
kyun apni pahchan nahin hai
Nazm
Doraha
Javed Akhtar