baadal barkha nadiyan sagar
sagar baadal barkha nadiyan
ek Dor ka hissa hain
farda ke sanche mein
kal aur aaj yun hi Dhal jate hain
kal aur aaj aur kal aapas mein
juda nahin ho pate hain
guzre lamhe KHatm nahin ho jate hain
mera nazara meri nazar
mere hawale mere tewar
mera talaffuz meri zaban
meri jihaalat mera gyan
mere taKHayyul mere rujhan
mera pinjra meri uDan
meri chaal aur mera Dhab
meri hasti meri zat
sab jazbaat aur sab haalat
TukDon mein nahin baT sakte
mera mazi hazir hai
mera farda nazir hai
kal aaj aur kal aapas mein
juda nahin ho pate hain
guzre lamhe KHatm nahin ho pate hain
Nazm
Dor
Subodh Lal Saqi