chalo ab sameTo khilaune
kitaben nikalo
ye kya Dher tum ne lagaya hua hai phaTe kaghazon ka
udheDi hui dolphin man ne dekhi to kuTegi
aansu bahate hue tum
mere pas aaoge
lekin main sahmi hui
man ki angara-ankhon se aankhen churaungi
miTTi kuredungi panw ke naKHun se
hathon ke naKHun katarte hue apne danton se
main ne kai bar dekha hai tum
us ki jholi mein chhup kar mera munh chaDhate ho
chori kiye us ke paison ka imchor khate ho
pani Tapakta hai honTon se mere
to man DanTti hai
dupaTTa uDati hai
jaane wo kya baDbaDati hai
kalmohi kahti hai kis ko
mujhe us ne ab tak bataya nahin hai
ki khaTTi zabanon pe shirini rakkho to
ubkai machhli ki manind bahar lapakti hai kyun
KHair chhoDo mujhe
tum phaTi dolphin sambhaalo!
Nazm
Dolphin
Ali Mohammad Farshi