qissa dohri shahriyat ka
ek hijrat ne likkha hai
jism ki hijrat kahiye us ko
hathon aur pairon ki hijrat
nak kan aur honTon ki hijrat
mera jism yahan hai lekin
ruh ka Dera aur kahin hai
mere purane ham-sae sab
mera chehra mangte hain
aur nae hain jitne bhi wo
jaan rahe hain mujh ko naya
aaine mein mujh ko apna
dhundla KHaka dikhta hai
apni jeb mein rakhta hun main
donon KHaton ki ek pahchan
taki bhul na jaun main ye
apni zat aur nam-nishan
Nazm
Dohri shahriyat
Saeed Naqvi