dodge ke nam se jaanan tujhe ulfat hi sahi
dodge hotel se tujhe KHas aqidat hi sahi
us ki chae se chikan soup se raghbat hi sahi
dodge karna bhi azal se teri aadat hi sahi
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
qais o laila bhi to karte the mohabbat lekin
ishq-bazi ke liye dasht ko apnate the
hum hi ahmaq hain jo hotel mein chale aate hain
wo samajhdar the jangal ko nikal jate the
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
kash is marmarin hotel ke baDe matbaKH mein
tu ne pakte hue khanon ko to dekha hota
wo jo murdar ke qime se bhare jate hain
kash un roghni nanon ko to dekha hota
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
jaanan! rozana tere lunch ka bil kaise dun
main koi seTh nahin koi smuggler bhi nahin
mujh ko hoti nahin upar ki kamai hargiz
main kisi daftar-e-maKHsus ka afsar bhi nahin
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
ghag baire ne dikha kar baDa mahnga meinu
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq
ishq hai mujh se to coffee hi ko kafi samjho
main manga sakta nahin murgh-musallam ka tabaq
tu meri jaan kahin aur mila kar mujh se
Nazm
Dodge-mahal
Sarfaraz Shahid